Powered by Blogger.
RSS
This Pak Tea House is a lounge in which u can read and download famous Urdu and English novels and deliver your views about these novels and writers writing style Your views are precious and respectable 4 us and also for our writers.

Pages

Jo chalay to Jaan se Guzar Gay _ Maha Malik .....




Zeer-e-nazar Novel hmaray apnay he muasharay ki kahani hai... Iss k kirdar Mawraai ya tasawurati ( Imaginary ) nhe hain.... Yeh jeetay jagtay kirdar hmari apni society ka hissa hain... Zindagi ki rahoon me hum se qadam qadam per takratay hain... Ye kirdar muhabat ke qareeno ( Tenor ) se bhe waqif hain Aur Raqabat ( Jealousy ) aur nafrat ( Haterd ) k adab (Conventionality )  bhe nibhana jantay hain.... Inhay jeenay ka hunar bhe ata he r marnay ka saleeqa bhe.... Khair aur shar har insan ki fitrat k 2 bunyadi anasir hain r har insan ka khameer inhe 2 anasir se gundha hota he...
         Aadmi se insan honay ka safar bohat kathin hota he ..... per Musanifa ( writer ) ki nazar me insan whe he jis ka khair ka ansar uss k shaar k ansar ko zameer ki jung jeetnay na dy.... Aur aik acha insan whe he jis k andar Khair ka aalaoo roshan rahay.... 

Yahee chand batain iss Novel ki asaas hain...

Aap ki Iss novel r is novel per bnay gay Drama Serial " Jo Chalay to jaan se guzar gay per kia raay he " ???










  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS