Zeer-e-nazar Novel hmaray apnay he muasharay ki kahani hai... Iss k kirdar Mawraai ya tasawurati ( Imaginary ) nhe hain.... Yeh jeetay jagtay kirdar hmari apni society ka hissa hain... Zindagi ki rahoon me hum se qadam qadam per takratay hain... Ye kirdar muhabat ke qareeno ( Tenor ) se bhe waqif hain Aur Raqabat ( Jealousy ) aur nafrat ( Haterd ) k adab (Conventionality ) bhe nibhana jantay hain.... Inhay jeenay ka hunar bhe ata he r marnay ka saleeqa bhe.... Khair aur shar har insan ki fitrat k 2 bunyadi anasir hain r har insan ka khameer inhe 2 anasir se gundha hota he...
Aadmi se insan honay ka safar bohat kathin hota he ..... per Musanifa ( writer ) ki nazar me insan whe he jis ka khair ka ansar uss k shaar k ansar ko zameer ki jung jeetnay na dy.... Aur aik acha insan whe he jis k andar Khair ka aalaoo roshan rahay....
Aadmi se insan honay ka safar bohat kathin hota he ..... per Musanifa ( writer ) ki nazar me insan whe he jis ka khair ka ansar uss k shaar k ansar ko zameer ki jung jeetnay na dy.... Aur aik acha insan whe he jis k andar Khair ka aalaoo roshan rahay....
5 comments:
novel bht kamal tha ..... parh kar hakekatan maza aya tha magar drama os miyar par pora nhe utr saka....no doubt novel or drama my zameen asman ka frk tha
Ap ki bat se ye zahir ho raha he Umaila riaz k Iss novel pe bnaya gya drama ap k mayar k mutabiq nhe he....
bilkul sahi samjhi hyn ap...... drama novel k passing bhe nhe tha .... or zahir si bat hy jin logo ny novel parhny sy pahly drama dekha ho ga on ko novel bhe pasnd nhe ay ga
Aksar okat esa hota he k hum jesa aik chez se xcpect krty hain hume wesa result nhe milta ...... Drama bnany waly shyd is novel ki depth ko nhe smj saky r muje cast b bht out standing nhe lgi the
im agree with you nia..... is drama ki cast ny bhe koi bht acha tasur kaim nhe kia .... balky ye kahna munasib ho ga k ye ak low budget drama tha .... jis ny kafi had tak novel ka image bhe kharab kar dia
Post a Comment